Tuesday 3 December 2013

#Daagh #shair #Marsiya-e-Dilli

#Daagh #shair #Marsiya-e-Dilli

Falak zameen o mulaik janab thi #Dilli 
Bahist o khuld men bhi intikhab thi Dilli 

jawab kaahe ko tha,lajawaab thi #Dilli 
Magar khyal se dekha tau khwab thi Dilli 

.Pari hain ankhen wahan jo jagah thi nargis ki
Khabar nahin ki ise kha gayi nazar kiski 

.Falak ne qahr o gazab taak taak ke daala
Tamaam parda e namoos chaak kar daala

Yakayak ik jahan ko halaak kar daala
Gharz ke lakh ka ghar khakh kar daala

Jalen hain dhoop men shaklen jo mehtab ki thi
Khinchein hain kaanton pe jo pattian gulab ki thin

Lahu ke chashme hain chashm e pur aab ki surat
Shikasta kaasa e sar hain habaab ki surat

Lute hain ghar, dil e khana kharab ki surat
Kahan yeh hashr men tauba! itaab ki surat

Saturday 25 May 2013

Mughle Azam - some dialogues explained

20th May

youtube.com/watch?v=SPRdjRwh6XE …
reference : dialogues taken from this montage

Mughle Azam = The Great Mughal ( a name given to Akbar)

Jumbish* makun^ = Do not Move ( motion/ movement| ^do not) Everytime Akbar appeared on the scene as per protocol it was announced
Jumbizh makun, hoshiyaar, Zille Ilaahi * tashreef laa rahe hain ( Zille Ilaahi =shadow of God on earth)

Jo aapke ghar aate hain woh Tashreef laate hai | agar aap kisi ke ghar jaayein tau aap haazir hote hai. Tashreef literally means honouring

As children there was a joke " What kind of great king is this, kept asking for a takia ( pillow )& nobody brought it " Word was #Takhliya
# Takhliya means privacy, solitude and is used for monarchs / princes when they want solitude
"agar Zille ilahi ne yahan dekh liye tau Anarkali ki qabr aapki aagosh* mein ban jaayegi "
*embrace, lap

"Mohabbat jo dar jaati ho woh mohabbat nahi aiyyashi* hai , gunaah hai"
*literally means lust , lechery

"Adab se baat karo" = talk politely, courteously / keep within the boundaries of etiquette & protocol ( in the movie)
beraham = cruel, merciless

"Humein iss Parwaan^ e azaadi* pe mohar** chaahiye"
Hum not main was the royal pronoun
^moth, lover, warrant, permission
*freedom
**seal

"Hamaari bakshi huyi yeh aziimushshaan* saza tumhe bhugatni hogi"
*great, magnificient

"hamaare faislon par tujhe koi ikhtiyaar* nahin hai"
*Power/ authority

"yeh raat Akbar e Azam ke Mansoobon* pe bhaari guzregi"
*plans

Another misused word is " tashreef". I have heard someone say, " main kal aapke ghar tashreef laaonga" . It shd have been haazir honga


"saahib e alam* tashreef laa rahe hain"
*master of the world used for princes
sahab =master, gentleman,
alam= world

"Aakhir e kaar* akbar e azam ki garm nigaahon se who mom^ pighal gaya jis tu bani huyi thi"
*At last
^ wax

"woh Kaagazi zevar* jal ke khaak ho gaya jisko pehan kart u itraati phirti thi"
reference to impermanence of emotions/ disloyalty

Daghabaaz kaneez = deceitful maid
buzdil laundi = cowardly slave

Sharm-naak = shameful, disgraceful
Sharm-saar = ashamed, repentant

"Akbar ki buzdil laundi Ek jhooti kasam thi jo mera imaan badal gayi" "Sharmnaak badnaami ka daagh thi jo mere daman pe laga aur dhul gaya"
"Zille ilaahi ke huzoor* mein saahib e alam ka paighaam^ hai"
*in presence of a superior authority
^message
(courtly, formal language)

Waliahad e sultanat = Heir to the throne
ba awaaz e buland = In a loud voice
Khud mukhtaari* ka eilaan^ karta hun
*autonomy ^announcement

Mukhtaar = ndependent,authorised,empowered

"Mera Mutaalba* hai ke Zille Ilaahi, Anarkali ko meri begum aur Hindustan ki hone waali malika tasleem^ karein"
* asking for, demand ^accept

Taimuri nasl = Timur's descendant ( nasl = breed)
Khuddar = one with self respect/ self respecting

Mazhab o millat ki parwaah kiye baghair
mazhab= religion
millat = community, nation, subject, faith

"Jawaani ke khumaar* mein doobi huyi iss tahreer^ ko aakhir tak padho"
*intoxication/ nasha
^document

"Nacheez* ki zubaan maazur^ hai"
*insignificant, worthless ( commonly used to describe self when talking to others)
^helpless


"Aaj hadd* e adab muqarrar^ nahi. Byaan** Ho!"
* limitations laid by etiquette
^fixed
**narrate / continue narration


mukarrar = repeatedly, again and again ( popularly used in mushairas - encore) is not to be confused with
Muqarrar = fixed


baghawat* & Baaghi^ "
*rebellion and ^rebel

Tareekh* gawah hai
Qatl**
suhag ki aabroo^ par sati ho jaane waali Rajput malika
*History
**kill /murder
^reputation, chastity, dignity


In haathon se talwar kya uthegi jo Suhaag ki choodiyon ka bojh naa utha saki
(one of my fav dialogues tho no explanation needed here)

Jung ke naqqare = drums of war
Hukm^ e Aali* ho tau = *Aali is 'High; sublime; lofty'| ^order
soormaa = brave,valiant,bold

Rihaa^ kar diya jaaye = free. release
Le jaao Rangeen fitne* ko = mischief (maker )/ seditious

Jahan panah* ke iqbal^ ka suraj hamesha chamakta rahe
*literally protector of the world but used 4 kings instead of Your/His Majesty


iqbaal = ^prosperity / good fortune

Dastoor* hai ke marne waali ki aakhri aarzoo^ puri ki jaati hai
*custom, usage,
^aspiration, desire, hankering, wish
Expand Reply Delete Favorite


Kaneez ki aarzoo Zille Ilaahi ke ikhtiyar* mein nahi hai
*authority,power,competency,will

"Hamare rahm ka daaera* itna tang^ nahin ke usmein ek kaneez ki aarzoo na samAa** sake"
*circle/boundary
^narrow
**fit

:Aakhir Ek kaneez ki aarzoo zubaan par aa hi gayi"
" Kaneez ki majboori ko uski aarzoo na samajhiye"
My favourite scene in the movie

"Main nahi chaahti k unka waada jhoota ho aur Hindustan ka hone wala badshah zindagi bhar ek adna* kaneez se sharminda rahe"
*insignificant

"Teri maut se woh Na

-aashna* ho jaaye"
*unknown,a stranger,un-acquainted,unfamiliar

"Behosh aashiq. Ke pahlu* se utha kR maut ke aghosh^ mein pahuncha de"
*side( also used 4r=direction, point of view)
^embrace, lap, bosom

"Salim tujhe marne nahi dega aur hum tujhe jeene nahin denge"
Dialogue made famous by Ajit originates from here

http://www.youtube.com/watch?v=1amexSknhD0 …
we continue from 6 min of this clipping of Mughle Azam

"Kaneez tau kab ki mar chuki hai ab Janaaze* ko rukhsat^ ki ijaazat** dijiye"
*funeral
^leave- taking
** permission

"Shahenshah ki in Behisaab baksshishon* ke badle main ek kaneez Jalauddin Mohd Akbar ko apna khoon muaaf karti hai"
MY fav scene
*gifts/kindness

Taaj poshi = coronation
Ba nafse nafees jung mein shareek honge = my esteemed self will join the war

Maa badaulat = A royal way of referring to self in third person
( literally means everything here is because of me )

naghmon se barasti hai masti
chhalke hain khushi ke paimaane*
Jab raat ho aisi matwaali tau subah ka aalam^ kya hoga!
*goblet
^condition

Anarkali, when presented with thorns by Salim: "Zahe naseeb^. Kaanton ko murjhane ka khauf* nahin."
^My good fortune
*fear


Anarkali, when presented with thorns by Salim: "Jahe naseeb. Kaanton ko murjhane ka khauf nahin. (I am fortunate to receive thorns because thorns never wither)." While accepting the reward, Anarkali says, "Phool to murjhha jaate hain, lekin kaanTe daaman thham lete hain"
“afsaanon mein aaya hai ke mujassamon* ki naqaab-kushaayi^ teeron se bhi huaa karti thhi”.
*Statues
^Unveiling

” aap hi ki sultanat ka ek magroor* mussavvir^ jo gumnaami** ke andheron se baahar aana nahin chahta”.
*arrogant/proud
^artiste
**anonymity

Bahaar to Prince Salim - ” Kaneez ko khanjar* ki nafarmaani^ par hairat** hai “
*dagger
^disobedience
**astonishment

King Akbar to Prince Salim – ” hamaari duaa hai ke khudawand-e-akram maidan-e-jung tumhen mein jalaal-e- akbari se mehfooz* rakkhe “



Jodhabai: "Hamara Hindustan koi tumhare dil nahin hai laundi jispar hukumat kare (Our Hindustan is not your heart which a nautch girl can rule over)."
Salim: "Toh mere dil bhi aapka Hindusthan nahin hai, jo aap uspar hukumat kare (By the same token, my heart is not your Hindustan that you impose your will over it)."
ae mere mushkil kushaan* ( mushkil door karne wala-Title of H.Ali)
fariyaad hai
bekas pe karam keejiye
sarkaar-e-madinaa ( Prophet pbuh)
gardish* mein hai taqdeer
bhanwar mein hai safeena^
*revolution, circulation, misfortune,
^ship,a vessel,a boat

posheeda* nahin aap se
kuch dil ke fasaane^
*hidden/secret
^stories

chhaayi hai museebat ki ghataa
gesuonwaale*
( reference to Prophet pbuh - gesu means hair)

http://www.youtube.com/watch?v=R-dJ4CZ67ZI …

"Dhoop aur garmi se tapti huye iss registaan* mein, angaaron ke manind^ ret par yeh nange paaon chalne waala insaan Akbar e Azam hai"
*desert
^ resembling
tapti = burning

"In aankhon ki maayusi* kah rahi hai ke inhone ne aulaad^ ka muskuraata huwa chehra nahin dekha "
*sadness
^children/progeny

"Insaaf ke iss muqaddas* tarazu ki qasam, Akbar se zindagi mein ek baar jo maangogi , ataa^ kiya jaayega"
*holy, sanctified
^will be gifted

" waqt ke saath saath, naukhez* shahzaade ki shokhiyaan^ zaahir hone lagin"
*naukhez means newly bloomed but here adolescent
^mischief

Aur Akbar e Azam ko Hindustan ka mustaqbil* andheron mein doobta huwa mehsoos^ huwa"
*future
^felt

"Iske sar se maa ke pyaar ka reshmi aanchal hata kar isse lohe ka khaar* pahna do"
*thorns reference to armour ( zer e bakhtar )

parwarish = upbringing
sipah salar = commander
jaan nasheen = heir
gustaakh = audacious


"aaftaab** ki raushni duniya ke har goshe^ ko aalam* karti hai"
**sun
^corners
*here it means to illuminate

ruswaa = badnaam / defame / disgrace
AAqa = lord , master
iqraar = acceptance


Main tumhari aankhon mein apni mohabbat ka ikraar dekhna chahta hoon
"Inhe mat dekhiye Shahzaade, in mein siwaaye ek kaneez ki sehmi* huyi hasraton** ke aur kuchh nahin hai"
*suppressed
**desires

shikast = defeat
suboot = proof
faateh = conqueror
fateh = conquest
dar = darwaaza/ door
hausla = courage
hiraasat = arrest

Saturday 18 May 2013

Some similar dounding words starting with "T"

18th May

Tadbeer Se Bigdi Hui Taqdeer Bana Le-
http://www.youtube.com/watch?v=dSTP9aDTAJI …
Today some words which sound the same but have completely different meanings

tadbiir तदबीर تدبیر =advice, solution, arrangement, order
Taqdiir तक़दीर تقدیر = destiny ( Q and not k )

taqdiir se ye puuchh rahaa huun ke ishq mein //
tadbiir koii bhii sitam-e-naa-gahaan* kii hai (*sitam - cruelty /naagahhan - unexpected )

tadbeer ke Urdu mein doosre alfaaz hain; soch-bichar, jatan, hikmat, chaalaki

usage:
Khwaabon ki taabiir hoti hai aur imaaraton ki taamiir

taamiir तामीर تعمیر = building, construction, structure
taabiir ताबीर تعبیر = interpretation, explanation, elucidation



barbaadiyon kaa apne nasheman kii Gam nahiin
taamiir ho rahe hai.n gulistaan naye naye

merii aankhon mein kaii KHvaab adhuure hain abhii
kyaa mukammal inhen taabiir kiyaa jaayegaa

taskiin तस्कीन تسکین = consolation, comfort, pacifying, soothing

jhuuTii hai har ek musarrat
ruuh agar taskiin na paa.e

tasniim तसनीम تسنیم = a fountain of Paradise
tanziim तंज़ीम تنظیم = organisation,administration,arranging
taqsiim तकसीम़ تقسیم = division

taaziim ताज़ीम تعظیم = reverence
usage : Taaziim ke liye khade hona

duniyaa mein vahii shaKHs hai taaziim ke qaabil/
jis shaKHs ne haalaat kaa ruKH moD diyaa ho

Saturday 11 May 2013

ajal and azal

11th May
Ajal , अजल , اجل = death
Be ajal = deathless
Azal , अज़ल , ازل = beginning, eternity
Roz e azal – first day
both ajal and azal are of Arabic origin
ajal_raseedaa = almost dead/doomed
husn-e-azalii = eternal beauty
afsaana-e-azal = eternal story
munshii-e-azal = writer of eternity, God
daam-e-ajal = clutches of death
KHauf-e-ajal = fear of death
paik-e-ajal = the messenger of death
paiGaam-e-ajal = message of death
Qazaa , . क़ज़ा , قضا = fate, destiny, death
Safar mein hai jo azal se yeh woh balaa hi na ho //
KiwaaR khol ke dekho, kahiN hawaa hi na ho #Munir Niyazi

#ajal kii duaa har gha.Dii maangte hain/
Gam o dard o ranj o taab* chaahte hain #DaaG Dehelvi
(* toil , fatigue )

na jis kii shakl hai koii na jis kaa naam hai koii /
ik aisii shai kaa kyoN hameN #azal* se intazaar hai
[Shahryar] (* time immemorial, )

kaho #ajal se zaraa do ghaRii Thahar jaaye//
sunaa hai aane kaa waadaa nibhaa rahaa hai ko_ii
[Sardar Anjum]


Thursday 9 May 2013

abr and all other words formed with it

8th May
youtube.com/watch?v=K36hy66CWBE …
Aaye kuch #abr kuchh sharaab aaye
Abr अब्र ابر = Cloud, rain-bearing cloud
baarish vo barastii hai ke bhar jaate hai.n jal-thal
dekho to kahii.n abr kaa Tuk.Daa nahii.n hotaa ahmad 'mushtaaq'
abr jhukaa hai chaand ke gore mukh.De par
chho.Do laaj lago dil se mu.nh mo.Do mat 'amiiq' Hanfi

abr-tar = wet cloud,rain bearing cloud
abrsegaa = will rain, pour
abr-e-Gam = cloud of sorrow
abr-e-nau = fresh cloud
phir hu.ii yaad-e-mai-kashii taazaa
masti-e-abr-e-nau-bahaar na puuchh Nuun Miim Raashid

abr-aaluud = Cloudy,Nubilous,Unclear
abr-e-ashk = cloud of tears
abr-e-zulf = cloud of tresses
abru-e-teG = eyebrow like sword
abr-e-karam = cloud of favours
abr-e-siyah = black cloud
abr-e-surKH = red cloud
abr-e-tahii = lower clouds, hidden, inner
abr-e-tunak = quick-tempered cloud
abr-e-aazaar = cloud of grief
abr-e-bahaar = clouds of spring
un ko yaa.n vaade pe aa lene de ai abr-e-bahaar
jis qadar chaahnaa phir baad me.n barsaa karnaa 'hasrat' Mohani


abr-e-giryaa = cloud/mist of tears/crying
abr-e-giryaa ne vo tuufaan uThaa.e ab ke
mere dariyaa.o.n ko kam pa.D ga.e saahil mere 'saliim' Kausar


abr-e-rahmat = cloud of mercy
abr-e-rahmat ne de diyaa chhii.nTaa
baad marne ke jab Gubaar uThaa Shekh Alii Bakhsh 'biimaar
abr-e-shafaq = a rainbow-bearing cloud
abr-e-ravaa.n = moving cloud
nikal kar saaya-e-abr-e-ravaa.n se
rahe ham muddato.n be-saayebaan ( roofless) se 'rasaa' chugtaa.ii

abr-e-tasviir= cloud pictures
abr-e-baaraan = rainining clouds,nimbus
abr-e-bahaarii = cloud of spring
abr-e-mohabbat = cloud of love
abr-e-gurezaan = fleeting clouds
abr-e-niisaanii = a month which corresponds with April or a drops of springrain, believed to produce pearls if they fall in to shells and venom if they drop upon serpents
abr-e-tanhaayii = cloud of loneliness
abr-e-bahaaraan = clouds of spring
abr-e-gohar-baar = pearl raining cloud
अब्र-ए-गौहर-बार
ابر گوہر بار
apnii aankhon se bahaayen sail-e-ashk
abr-e-gauhar-baar kii baaten karen 'aKHtar' Shirani
abr-e-nau-bahaar = clouds of spring
abr-e-gauhar-baar = pearl raining cloud
abr-e-KHiraamaan = a moving cloud
abr-e-shafaq-aaluudaa = cloud with rainbow
be-abr = without rainy cloud
rag-e-abr = rain bearing cloud, nimbus cumulus
roz-e-abr = Cloudy Day
ataa-e-abr = gift of cloud
misl-e-abr = resembling rainy cloud
raad-e-abr = lightning in cloud
parda-e-abr = veil of cloud
ridaa-e-abr = shawl/veil of cloud
kabhii kabhii ko.ii suuraj tuluu* hotaa rahe
ridaa-e-abr me.n taare bhii mu.nh chhupaate rahe.n 'as.ad' Badayuni
Sun rising / nikalnaa


zahra-e-abr = cloud- shining, bright, white, splendid, beautiful
bhaTakte-abr = wandering cloud
hijaab-e-abr = curtain of rainy cloud
libaas-e-abr = aparrel of rain clouds
misaal-e-abr = resembling rain bearing cloud
chaadar-e-abr = veil of rainy clouds

misl-e-abr-o-barq = resembling cloud and lightning
tah-e-abr-e-tunak = layer of delicate clouds
mashkiiza-e-abr = bag (of water made from goat's hide or skin) of rainy cloud
Kamaan-e-abruvaa.n = arch of brows
KHam-e-abruu-e-yaar = curve of brow of beloved
saf-e-abr-e-ravaan = line of moving clouds
nikhat-e-abr-o-baad = fragrance of cloud and wind
saaya-e-abr-e-ravaa.n = shadow of wandering cloud
chaadar-e-abr-e-bahaar = veil of cloud of spring
muntazir-e-abr-e-karam = waiting for cloud of kindness
javaab-e-abr-e-niisaa.n = answer, reply of rain-bearing cloud, nimbus cumulus
Saaya-e-abr-e-gurezaa.n = shadow of evasive rain cloud
masti-e-abr-e-nau-bahaar= intoxication of cloud of new spring
kamaan-e-abru-e-KHuubaan = arch of eyebrows of beautiful girls
rezish-e-abr-e-barshagaal = pouring of the rain-bearing cloud
maanind-e-abr-e-diida-e-tar = wet eyes resembling rain bearing cloud

Dekhaa hai zindagii ko kuchh itnaa qareeb se

7th May
http://www.youtube.com/watch?v=32yKIoGCDnk
Dekha Hai Zindagi Ko Kuchh Itna Kareeb Se - Kishore Kumar
Movie : Ek Mahal Ho Sapnon Ka (1975)
Singer : Kishore Kumar
Music : Ravi
Lyricist : Sahir Ludhianvi

Dekhaa hai zindagii ko kuchh itnaa qareeb se
chehre tamaam lagne lage haiN ajeeb se

kahne ko dil ki baat jinhe dhoondhte hum
mehfil mein aa gayein aaj apne naseeb se

neelaam ho raha tha kisi naazneen ka pyaar
qeemat nahi chukaii gayi ek gareeb se

teri wafa ki laash pe la main hi daal dun
resham ka kafn jo mila hai raqeeb se

is rengati hayaat kaa kab tak uThaayeiN baar
beemaar ab ulajhne lage haiN tabeeb se
hayaat = life
baar = weight
tabeeb = doctor/healer

har gaam par hai majamaa-e-ushshaaq muntazir
maqtal ki raah milti hai kuu-e-habeeb se
gaam = step
majmaa = crowd
ushshaaq = lovers (Plural of aashiq)
muntazir = awaiting
maqtal = place of execution
kuu-e-habeeb = lover’s street

is tarah zindagi ne diyaa hai hamaaraa saath
jaise koi nibaah rahaa ho raqeeb se
raqeeb = rival

ai rooh-e-asar jaag, kahaaN so rahi hai tu
aawaaz de rahe haiN payambar saleeb se
payambar = prophets
saleeb = cross ( reference to crucification of jesus)