7th May
http://www.youtube.com/watch?v=32yKIoGCDnk
Dekha Hai Zindagi Ko Kuchh Itna Kareeb Se - Kishore Kumar
Movie : Ek Mahal Ho Sapnon Ka (1975)
Singer : Kishore Kumar
Music : Ravi
Lyricist : Sahir Ludhianvi
Dekhaa hai zindagii ko kuchh itnaa qareeb se
chehre tamaam lagne lage haiN ajeeb se
kahne ko dil ki baat jinhe dhoondhte hum
mehfil mein aa gayein aaj apne naseeb se
neelaam ho raha tha kisi naazneen ka pyaar
qeemat nahi chukaii gayi ek gareeb se
teri wafa ki laash pe la main hi daal dun
resham ka kafn jo mila hai raqeeb se
is rengati hayaat kaa kab tak uThaayeiN baar
beemaar ab ulajhne lage haiN tabeeb se
hayaat = life
baar = weight
tabeeb = doctor/healer
har gaam par hai majamaa-e-ushshaaq muntazir
maqtal ki raah milti hai kuu-e-habeeb se
gaam = step
majmaa = crowd
ushshaaq = lovers (Plural of aashiq)
muntazir = awaiting
maqtal = place of execution
kuu-e-habeeb = lover’s street
is tarah zindagi ne diyaa hai hamaaraa saath
jaise koi nibaah rahaa ho raqeeb se
raqeeb = rival
ai rooh-e-asar jaag, kahaaN so rahi hai tu
aawaaz de rahe haiN payambar saleeb se
payambar = prophets
saleeb = cross ( reference to crucification of jesus)
Bahut BAhut Sukriya Janaab
ReplyDeleteJeonde Raho..
Agar Urdu ke bare me zara c aur taleem ho jaati to Mashaallah bhaut khusnaseeb hote hm
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteOh Mam ji
ReplyDeletemaaf kr dena plz
mujhe lga k aap male ho (naam ko dkhkr)
aur aapki bina profile dekh k hi Appko kaisa kuch kha..
please forgive me
I'd gone beyond my extent.
M bs ek student hoo
Oh Mam ji
ReplyDeletemaaf kr dena plz
mujhe lga k aap male ho (naam ko dkhkr)
aur aapki bina profile dekh k hi Appko kaisa kuch kha..
please forgive me
I'd gone beyond my extent.
M bs ek student hoo