Tuesday, 3 December 2013

#Daagh #shair #Marsiya-e-Dilli

#Daagh #shair #Marsiya-e-Dilli

Falak zameen o mulaik janab thi #Dilli 
Bahist o khuld men bhi intikhab thi Dilli 

jawab kaahe ko tha,lajawaab thi #Dilli 
Magar khyal se dekha tau khwab thi Dilli 

.Pari hain ankhen wahan jo jagah thi nargis ki
Khabar nahin ki ise kha gayi nazar kiski 

.Falak ne qahr o gazab taak taak ke daala
Tamaam parda e namoos chaak kar daala

Yakayak ik jahan ko halaak kar daala
Gharz ke lakh ka ghar khakh kar daala

Jalen hain dhoop men shaklen jo mehtab ki thi
Khinchein hain kaanton pe jo pattian gulab ki thin

Lahu ke chashme hain chashm e pur aab ki surat
Shikasta kaasa e sar hain habaab ki surat

Lute hain ghar, dil e khana kharab ki surat
Kahan yeh hashr men tauba! itaab ki surat

No comments:

Post a Comment